Wednesday, 24 August 2016

Band rakhte hain zubaan

Band rakhte hain zubaan, lab nahi khola karte
Chaand ke saamney sitaare nahi bola karte



Monday, 13 April 2015

Aik misrah hai zindagi....

Aik misraah hai zindagi meri,
aap chaahen to sher ho jaye..

Jalwon ki saazishon ko...

Jalwon ki sazishon ko na rakho hijab mein,
Ye bijliyaan hein ruk na saken gi naqaab mein!

Ab tak to khair...

Ab takk to khair teri tamanna main katt gayi,
Tu mil geya to sochta hoon kya karoon ga main..

Baar-haa is saadgi pe...

Baar-haa iss saadgi pe khud hanssi aayi mujhe,
Kar raha hoon kis zamaane mein wafaa ki baat..

Peene se kar chuka tha tauba..

Peene se kar chuka tha main tauba magar Jaleel,
Baadal ka rang dekh ke neeyat baddal gayiii..

Aakhir woh

Aakhir woh mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya,
Kal shaam main to apne hi saaye se ddar geya..